Tech News

Whatsapp forward button limits

Hi Dosto Aaj Hum Baat Karne Wale Hain Whatsapp ke Ek Aise update ke baare mein Jis ke baare mein aap ko jana bilkul zaroori hai aap ko pata Hoga Ki WhatsApp par rozaana kai sare video photos wallpaper website link Aor text message share Hote rehte hai, jin mese Kai post viral Ho Jati Hai Jada tar WhatsApp par fake news fake Jankari hi share hoti rehti hai waise kuch Waqt Pehle WhatsApp Ki fake news ki wajah se Kai logo ki jaan bhi ja chuki hai

Aapko Shayad Pata Hoga Ki Kuch Waqt Pehle Ek aise hi WhatsApp fake news faili thi jis mein kaha gaya tha ki kuch kuch shehron mein baccho ko kidnap karne wale log aa chuke hain toh kripya Karke baccho par Dhyan De or esi fake news ki wajah se Kai logo Ki Maut bhi ho chuki hai Jisme Se Kahi Mahila aur Kahi purusho ko Mar Mar Ke Mar Diya gaya tha Aur Is Tarah ki ghatna ko Anjaam dene Mein WhatsApp ka Kafi Bada yogdan tha Kyunki WhatsApp ki fake news ki wajah se he Is Tarah Ki vardaat hoti Rehti thi esi ko Dhyan mein rakh kar Sarkar Ne WhatsApp par dabav Banaya ki WhatsApp jald se jald koi aisa update Le Jisme fake news ko Puri tarike se band Kiya Ja sake, WhatsApp Aisi Baat par Dhyan rakhte hue WhatsApp Ne Ek Naya update Jaari Kiya Hai Jise aap WhatsApp ke beta version Mein dekh sakte hain is update Ke Aane Ke Baad ab aap Kisi bhi video ko photo ko ya phir Kisi bhi text message ko 5 se Jyada logo ko share nahi kar Payenge

Jani aap ek baar mein hai sirf aur sirf 5 Logo Ko Hai post share kar Payenge WhatsApp mein Pehle Aap 256 logo ko ek sath photo video ya phir Kisi bhi Tarah ka text message share kar sakte the Magar is update Ke Aane Ke Baad ab aap ek sath sirf aur sirf 5 Logo Ko Hai message share kar Payenge agar aap Jyada logo ko share karna chahte hain Kisi bhi Tarah ka message photo ya phir video toh aapko Dobara se us message ya phir photo ko forward karna hoga iska matlab ki aap 5 aur Paanch Karke message ya phir photo ya phir video share kar Payenge is update Ke Aane Ke Baad mujhe lagta hai ki fake news chalane Walo Ko kaafi mehanat Karni Hogi Magar iska Ek Bura Pehlu bhi hai agar koi Sach baat haiy yani real news hai toh usse bhi logo Tak bhejne mein kaafi takleef Ho ka Samna karna rahega is update ke baare mein Aapka kya kehna hai Jarur se Mujhe comment Karke batayega Agar aap uska video dekhna Chahte Hain To Aap Yahan Par dekh sakte hain

[aps-get-count social_media=”facebook”]

Saiyed Irfan

Irfan Saiyed, the founder of @ItechIrfan, has become a notable figure in the tech segment on YouTube, with an impressive subscriber base of 1.82 million and counting. Based in Bharuch, Gujarat, India, Irfan was born on 6th July 1986 and has established himself as a trusted voice in the world of technology.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button